2020 me under 15000 ki range me kai shandar phone available hai. Magar inme se best phone konsa hai joki aapki har zaroorat puri kare, aur t...
2020 me under 15000 ki range me kai shandar phone available hai.
Magar inme se best phone konsa hai joki aapki har zaroorat puri kare, aur top performance, best cameras shandar price par de.
Aaj hum iss video me aapke issi sawal ka jawab dene jaa rahe hai.
Hello dosto mera name hai deepak par aapka swagat hai.
Pichle kuch waqt me hume under 15000 ki range me kaif bade changes dekhne ko mile hai.
Ye range pehele se zyada competitive aur behtar ho gai hai.
Iss saal hume iss range me punch-hole screens se le kar quad camerajaise premium phones ke feature budget range me aate hue dikhe.Ye phones pehle se zyada powerful aur behtar designed hai.
Isme se sabse best phones ke display, build quality, processor, user experience aur price ko compare karke aapke lie ye list taiyar kari hai.
Iss list me humne kai categories ke lie best phones rakhe hai jaisi ki best camera phone, best gaming phone, best build quality, aur best all rounder phone.
Hum aapko har phone ke pros aur cons achche batane jaa rahe hai, to iss video ko dhyaan se dekhe.
Agar aap kisi bhi phone ko purchase karna chahe to description me di gai links par click kar sakte hai joki aapko seedhe phone pe mil rahi best deals par le jaengi.
To chalie Top 5 phones ki list shuru kari jae.
Hamari list ka pehla phone Google ke android one program ka hissa hai, ye pure stock android experience aur dher sare google features ke sath aata hai.
Number 5 par hai, Nokia 7.2.
Nokia 7.2 HMD ke budget range phones ka hissa hai, aur ye nokia ke pichle phone 7.1 ka upgrade hai.
Ye phone shandar design aur build quality ke sath aata hai aur isme latest security features bhi sabse pehle release hote hai.
Nokia 7.2 me android one ka support hone ki vajah se ye pure android 9 Pie ke sath aata hai
aur iske lie sare latest security updates available hai.
Phone sirf essential apps ke sath hi aata hai aur isme koi unnecessary apps preinstalled nahi hai, jiski vajah se ye bohot hi clean aur clutterfree lagta hai.
Aur aapko kabhi bhi apni apps ya notifications me ads dekhne ko nahi milenge.
7.2 me triple rear camera setup dia gaya hai, iske teeno cameras me carl zeiss lens ka istemal kia gaya hai. iska main camera 48MP ka hai jiska aperture f/1.8 hai, ye kafi decent shots leta hai aur iska color reporduction bohot achcah hai.
Iske alava phone me 8MP ka ultrawide camera hai jiska aperture f/2.2 hai, ye camera aapko aur wide shots lene me madad karega jiski madad se aap frame me aur chezien include kar paenge.
Sath hi phone me 5MP ka depth sensing camera bhi dia gaya hai jo ki portrait shots me bokeh effects aur edge detection ko behtar banane ke lie use hota hai.
Phone ka portrait mode kafi achcha hai, iska edge detection decent hai aur ye aapki photos me different bokeh effects bhi edit karne deta hai.
Camera app me HDR me photos lena ka option bhi dia gaya hai aur isme nokia ka picture-in-picture mode bhi included hai jo aapko phone ke front aur back camera se sath me videos aur photos banane deta hai.
Phone 4k quality tak video shoot kar sakta hai. 7.2 me Electronic Image Stabalization ka support bhi hai magar ye sirf 1080p video par hi work karta hai, videos banate samay EIS aapke motions ko detect karta hai aur footage me shakes ko kam karta hai.
Phone ke dono cameras se videos banae jaa sakte hai.
Phone ke water drop notch me iska front camera dia gaya hai,
iss camera me bhi carl ziess
lens ka use kara gaya hai, ye camera 20MP ka hai jiska aperture f/2.0 hai, phone ka front camera kafi wide angle shots leta hai aur iski quality kafi achchi hai, front camera me bhi beauty aur portrait modes ka support dia gaya hai.
Nokia 7.2 me 6.3 inch ki IPS LCD screen di gai hai jiski resolution 1080x2280 hai, jisse iski pixel density 400ppi ki ho jati hai.
Phone ka display HDR 10 compatible hai aur HDR content streaming support karta hai.
Screen ke viewing angles bohot achche hai aur iske notch ka size bhi kafi chota hai aur ye zyada distracting nahi lagta hai.
Iss display ki peak brightness 500 nitts tak jati hai aur ye sunlight me bhi kafi usable rehti hai.
Phone ke sath aapko 1 year ki google one storage free milti hai, google one google ki cloud storage service hai jisme aapko
Phone ke sath aapko google ki cloud storage service Google one 3 mahine ke lie free milti hai, iss service par aap 100 GB tak ka data save kar sakte hai.
Iss service par aap apne videos, photos, personal documents ya aur koi bhi files securely save kar sakte ho.
Magar inn 3 months ke kahatam hone ke baad aapko google one ke lie monthly ya yearly payment karni hogi.
Nokia 7.2 ka design bohot hi intresting hai, iska back par frosted gorilla glass 3 ka use kia gaya hai, jo ki phone ko bohot hi premium aur unique look deta hai, aur bohot sturdy bhi banata hai.
Phone ke display par bhi Gorilla glass 3 ka use kia gaya hai, yaha aapko phone ke call speaker ke sath iska front camera dekhne ko mil jaega jo ki water drop notch me dia gaya hai, Phone ki chin ki vajah se 7.2 ka screen to body ratio sirf 82.4% hi hai.
Phone ke sides par polycarbonate frame ka use kia gaya hai.
Iske power button par notification LED bhi di gai hai jiska inclusion hume kafi achcha laga.
Nokia 7.2 me Google assistant ka support bhi kafi achcha hai aur phone me dedicated google assistant button bhi hai, iss button ka function aap change to nahi kar sakte magar isse settings me se off kara jaa sakta hia.
Overall phone ki build quality bohot hi shandar hai,
phone bohot hi high quality material se banaya gaya hai aur iske design aur material me koi compromise nahi kara gaya hai.
Phone use karne me generally bohot hi comfortable lagta hai Magar 7.2 ke triple camera setup ki vajah se iska camera bump kafi zyada hai, phone ko flat surface par rakh kar chalane par phone bohot move karta hai aur iske camera lens par scratches aane ka khatra rehta hai.
Phone ka fingerprint scanner kafi slow hai, ye easy to setup hai aur fingerprints ko easily recognize kar leta hai magar phone ko unlock karne me kafi time lagata hai.
Sath hi iska face unlcock bhi zyada fast nahi hai.
Phone me dual sim slot die gae hai aur sath hi isme dedicated SD card ka support bhi hai.
7.2 me 3500 mAh ki battery di gai hai joki iss price segment ke dusre phones ke mukable thodi kam lag sakti hai magar 7.2 ke pure android hone ki vajah ye bohot battery efficient hai aur islie ye aapko kafi lamba screen on time de sakti hai.
Phone ke sath sirf 10W ka fast charger included hone ke baad bhi iski charging speed kaif tez hai.
Nokia 7.2 me Qualcomm Snapdragon 660 ka use kia gaya hai joki ek 14nm octacore processor hai jiske 4 cores 2.2Ghz par clocked hai aur 4 cores 1.8Ghz par clocked hai.
Isme graphics ke lie Adreno 512 ka use kia gaya hai. 660 ab thoda outdated processor ho gaya hai magar optimized software aur achche RAM management ki vajah se phone chalane me bohot smooth lagta hai aur day to day use me koi problems nahi deta hai.
Lekin heavy gaming me ye aapko thoda disappointing lag sakta hai.
Phone me PUBG ki graphics settings HD tak jati hai aur frame rate HIGH tak jata hai.
Phone par zyadatar casual games easily chal jate hai aur ye heavy games bhi handle to kar sakta hai magar ye shayad aapko best experience na de.
Nokia 7.2 two color options ke sath aata hai CHARCOAL CYAN GREEN
NOKIA 7.2 ko aap online ye fir aapni nazdiki koi bhi phone stores se khareed sakte hain.
Yeh phone 2 variant Mai aata hai iska 4gb/64gb wale variant ki price 14999 hai or iske 6gb 64gb wale variant ki price 15999 hai Agar aap bloat free pure android experience pasand karte hai aur apne phone ke lie hamesha latest updates chahte hai to ye phone aapke lie best hai.
Iska design stylish hone ke sath sath bohot hi durable bhi hai aur ye phone aapka kafi lambe samay tak sath dega.
Hamari list ka agla phone samsung ke sabse popular phone ke upar ek bada upgrade hai.
Ye hamari list ki sabse badi battery aur sabse achche display ke sath aata hai.
Number 4 par hai Samsung Galaxy M30s.
Samsung ki M series kafi popular rahi hai aur iss series ke phone hamari har best phone ki list me rahe hai.
M30s ke sath Samsung ne M series ke sabse popular phone ko aur behtar bana dia hai.
M30s iss price segment ki sabse badi battery ke sath aata hai.
Samsung ne iss phone me 6000 mAh ki battery di hai, sath hi iss battery ko easily charge karne ke lie M30s me fast charging ka support bhi dia gaya hai, aur phone ke sath 15W type-c fast charger included aata hai.
Ek full charge me M30s aapko easily 2 day battery life de sakta hai.
Aur lagatar heavy gaming karne par bhi full day battery deta hai.
Itni badi battery hone ke baad bhi phone bohot hi light hai, iska weight sirf 188g aur iski thickness bhi sirf 8.9 mm hai, jo ki bohot hi impressive hai.
Samsung ke phones sabse best mobile screens ke sath aate hai, aur ye phone bhi alag nahi hai.
Isme 6.4 inch ki Super AMOLED screen di gai hai jiska resolution 1080x2340 hai jo ki aapko 403 ppi ki density deta hai, M30s ka screen to body ratio 91% hai.
Hamesha ki tarha screen ka color reproduction behetreen hai aur viewing angles bhi bohot achche hai, sunlight me bhi screen kafi bright rehti hai, iski peak brightness 420 nits hai aur iske viewing angles bhi shandar hai.
Magar samsung ne phone ke protection ke lie koi special glass use nahi kara hai islie M30s ko scratches aane aur tootne ka zyada khatra hai.
M30s samsung ke nae OS one UI ke sath aata hai jo ki android 9 pie par based hai.
Samsung ki OneUI bohot impressive hai, ye pure android ke bohot close hai aur isliya bohot hi fast aur resposive bhi hai, UI ka
design bohot hi sleek aur clean hai aur ye use karne me bhi bohot easy hai.
iska CPU usage bohot low hai jisse battery life aur gaming experience aur zyada improve ho jata hai.
One UI ki vajah se iss range ke dusre sabhi phones ke mukable ye phone use karne me sabse zyada smooth aur resposive lagta hai.
Hume umeed hai ki iss phone ke lie One UI 2 ka update bhi samsung jald hi launch karegi.
Ye update android 10 par based hai aur samsung M30 me pehele hi aa chuka hai iss update me nae features ke sath sath latest security aur bug fixes bhi milenge.
Phone triple camera setup ke sath aata hai iska main camera 48 MP ka hai jo ki aapko har situation me high quality photos dega, iske sath phone me 123 degree ka 8MP ultra wide camera bh hai jo normal lighting condition me decent shots leta hai aur aapko unique shots lene me madad karta hai.magar low light me ye camera bohto suffer karta hai, phone ka night mode bhi zyada impressive nahi hai.
Sath hi Portraits lene ke lie dedicated 5MP depth sensing camera dia gaya hai jo ki aapko high quality bokeh effects dega.Camera modes ko switch karne ke lie app ki UI kafi achchi hai aur aapko shots ke beech ka difference achchce se dikhati hai.
Samsung M30s me 16 MP ka wide front camera hai jiska aperture f/2.0 hai, camera app me special selfie, focus mode hai jo aapki selfies me behtar background blur dega,
Phone me dual-sim slot ke sath dedicated microSD card slot dia gaya hai jo ki 1TB tak ki storage support karta hai.
Phone ki internal storage ke lie UFS 2.1 ka use kara gaya hai
jo aapko bohot hi high data transfer speed dega.
M30s Samsung ke Exynos 9611 processor ke sath aata hai, ye ek 10nm octacore processor hai, jiske 4 core 2.3 Ghz par clocked hai aur 4 core 1.7 Ghz par cloked hai.
Isme graphics ke lie Mali-G72 MP3 ka use kia gaya hai.
Ye processor kafi powerful to hai hi sath hi aapko bohot achchi battery life bhi dega.
Phone ki gaming performance okay hai, isme pubg HDR graphics quality tak jata hai aur Ultra frame rate ka support bhi hai, phone par games bohot hi stable run hote hai aur samsung ne one UI me game booster bhi dia hai jo aapke games ko stable rakhega aur backgroud apps ka cpu use low karke lag prevent karega.
Phone ki design kafi outdated hai, iska back low quality polycarbonate material se banaya gaya hai, aur ispar easily scratches aa sakte hai, sath hi iske camera ka cutout bhi bohot distracting hai aur phone ka design aur bigad deta hai.
Iss price range ke dusre phones zyada high quality materials use kar rahe hai, aur kuch phones glass back ke sath bhi aate hai, jinme se ek phone hamari list me bhi hai.
Phone me indispay fingerprint reader nahi hai magar iske back par dia gaya reader kafi fast aur
acurate hai.
Samsung M30s 3 color options ke sath aata hai, Opal black, saphire blue aur Pearl white.
M30s exclusively amazon par available hai, iske 4gb ram aur 64gb rom ki price 12,990 hai aur 6gb ram 128gb rom ki price 14,990 hai,
Overall Samsung M30s, M30 ke upar ek bohot hi achcha upgrade hai, samsung ne M30s ko aur behtar bana kar usko similar price me release karke bohot hi competitive phone release kia hai.
Hamari list ka agla phone apne punch hole display aur gaming performance ke lie jana jata hai.
Number 3 par hai Vivo Z1 Pro.
Vivo Z1 pro budget range me puch hole display lane vala pehla phone hai.
Aur abhi tak iss price range me koi dusra phone punch hole display nahi laa paya hai.joki iss phone ko bohot hi unique bana deta hai, iss phone ke sath vivo ne apni online only Z series ki dhamakedar shuruaat kari.
Z1 pro ke launch ke itne time baad bhi dusre phones abhi tak iss range pe punch hole displays nahi laa pae hai.
Jo ki z1 pro ko aur bhi zyada special bana deta hai.
Z1 pro mid 2019 me lauch hua tha magar iske shandar feature set ki vajah se ye 2020 me aa rahe naye phones ko bhi strong competition de raha hai.
Phone me 6.3 inch ki FHD+ IPS LCD screen di gai hai jiski resolution 1080x2340 hai jo ki aapko 395 ppi ki pixel density deta hai.
Iska screen to body ratio 90.77% hai.
Top left corner me phone ka sabse unique feature dia gaya hai, iska 32 MP camera.
Camera ka size sirf 4.6 mm ka hai iske chote size ki vajah se screen par zyada space waste nahi hoti hai.
Sath hi Vivo ne super black material use kia hai jiski vajah se screen off hone par camera nazar nahi aata hai aur phone ka design bohot hi clean lagta hai.
Screen ke upar bohot hi choti space me Vivo ne incall speaker aur ambient light sensor rakhe hai.
Screen ke mamle me Z1 pro dusre phones ke mukable thoda kamzor hai.
Iski protection ke lie Vivo ne gorilla glass ka use nahi kara hai, yani ki aapke screen ke sath sath camera par scratches aane aur damage hone ka zyada khatra hai.
Display ka panel IPS hone ki vajah se phone ke viewing angles bhi thode kamzor hai, sath hi ispar colors bhi kam vibrant nazar aate hai.
Phone ki body plastic se bani hai, iske back
par curved 3d design dia gaya hai.
Phone ka back kafi relfective hai aur lights padne par phone ko bohot hi interesting look deta hai.
Z1 pro ka finger print scanner bhi yahi dia gaya hai, iska finger print scanner kafi fast aur accurate hai aur dirt ya water hone par bhi sahi se work karta hai.
Phone me AI Triple camera setup dia gaya hai, iska main camera 16MP ka hai jiska aperture f/1.8 hai, sath hi phone me 8 MP ka 120 degree ultra wide angle camera hai jiska aperture f/2.2 hai, aur depth sensing ke lie 2MP ka camera dia gaya hai.
Camera app me portrait mode dia gaya hai joki 2MP camera ki madad se aapko kafi high quality bokeh shots dega.
Z1 pro ka indisplay camera kafi impressive hai, vivo ne bohot hi chote size me 32MP ka sensor use kia hai jiska aperture f/2.0 hai, ye camera beauty mode ki madad se aapko hamesha perfect high quality selfies dega.
Vivo ka front camera zyadatar lighting conditions me to bohot achcha perform karta hai magar low lighting me bohot zada weak photos leta hai.
Vivo Z1 pro india me snapdragon 712 ke sath lauch hua pehla phone tha, 712 ek 10nm octa core processor hai jiske 2 cores 2.3 Ghz par clocked hai aur 6 cores 1.7 Ghz par clocked hai.
Graphics ke lie phone me Adreno 616 ka use kia gaya hai.
Sath hi phone me wildvine l1 support bhi hai.
Phone me PUBG HDR settings par chalta hai aur lambe samay tak khelne par bhi hume koi lag dekhne ko nahi milta hai aur gameplay smooth rehta hai. 2019 me Vivo z1 pro PUBG tournament ka official sponsor bhi reh chuka hai.
Vivo ne aapke gaming experience ko behtar banane ke lie Ultra gaming mode bhi develop kia hai,
ultra gaming mode on karne par phone apne system resources gaming ke lie optimize kar leta hai, aur aapko behtar framerate aur network connectivity deta hai.
Sath hi iss mode me Do not disturb ka support bhi hai jo ki notifications ko behtar tarha se handle karta hai aur gaming ke doran aapko distractions se bachata hai.
Phone me 5000 mAh ki battery di gai hai jo ki single charge me aapko 6 ghante se bhi zyada der tak PUBG aur dusre heavy games run kar sakti hai.
Phone me 18W fast charging ka support bhi hai aur iske sath fast charger box me included aata hai.
Phone me OTG cable ki madad se reverse charging ka support bhi hai, jisse aap apni accesories phone ke zarie hi charge kar paenge, Magar Z1 pro me usb type-c port use nahi kara gaya hai, yani type-c accesories iske sath compatible nahi rahengi.
Phone Vivo ke funtouchOS ke sath aata hai, jisko indisplay camera ke lie specially design kia gaya hai, Z1 pro me FuntouchOS 9.0 hai jo ki android 9 pie par based hai.
FuntouchOS kafi heavy OS hai aur use karne me kafi confusing lag sakta hai, basic settings change karne ke lie hi aapko kafi kuch karna padta hai,
isme bohot sare useless features hai aur looks ke mamle me bh ye kuch khass nahi hai.
Iss os ki vajah se phone ko use karne ka experience bigad jata hai.
Ye OS phone ki sabse zyada disappointing cheez hai.
Agar aap apne phone me smooth gaming aur best overall performance chahte hai to Vivo Z1 pro aapke lie best choice hai.
Iska puch hole display phone ko premium look aur feel deta hai.
Magar camera quality ke mamle me phone thoda weak hai aur iska OS bohot sari unnecessary apps ke sath aata hai aur use karne me apko bohot irritating lag sakta hai.
Vivo ki Z series inki pehli online only series hai, aur Vivo Z1 pro exclusively flipkart par available hai, ye phone 3 color options me aata hai, sonic blue, sonic black aur mirror black.Z1 pro originally higher price par release hua tha magar iske price drops ki vajah se ye abhi bhi bohot hi attractive option hai.
Iske 4gb/64gb vale variant ki pricing 12,990 hai, 6gb ram 64gb rom vale variant ki pricing 13,990 hai sath hi Z1 pro 6gb ram aur 128 gb rom ke option me bhi aata hai jiski pricing 15,990 hai.
Online sales aane par ye phone aapko aur sasta bhi mil sakta hai, sale ke doran sare variants ki pricing 2000 rs tak off ho jati hai.
Iss price par ye phone iss range ka sabse attractive option ban jata hai.
Hamari list ka agla phone under 15000 ki price range me quad cameras lane vala pehla phone tha.
Ye phone behatreen design aur powerfull processor ke sath aata hai.
Number 2 par hai Realme 5 Pro.
Realme 5 Pro realme ki popular series ka sabse naya addition hai.
Iss phone ke sath realme under 15000 ki price range me quad camera lane vali pehli company ban gai.
Iska quad camera setup phone ka main highlight hai,
magar iske sath sath realme ne phone me shandar design aur powerful processor bhi dia hai jo 5 pro ko bohot hi attractive option bana dete hai.
Realme 5 Pro ko fast banane ke lie realme ne iss range ke sabse achche processor ko use kia hai.
Phone me vivo z1 pro ki tarha hi Qualcomm Snapdragon 712 ka use kia gaya hai.
Jiski vajah se dono hi phone performance me kafi similar hai.
SD 712 ke sath Qualcomm apne higher end processors ke features ko affordable chip me la chuka hai. 712 purane processors ke mukable battery efficient to hai hi sath hi isme behtar AI performance aur improved connectivity ke lie higher end DSP bhi hai.
Phone normal use me bohot hi smooth kam karta hai aur heavy use par bhi koi lag ya slowdown dekhne ko nahi milte hai.
Phone me UFS 2.1 storage ka use kia gaya hai jo ki faster internal storage hai aur appke games aur apps ko tezi se load karne me madad karegi.
Realme 5 Pro me 6.3 inch ki FHD+ IPS screen di gai hai jiska resolution 1080x2340 hai jo ki aapko 409 ppi ki pixel desity deti hai.
Phone aur front camera ki protection ke lie Gorllia Glass 3 ka use kia gaya hai.
5 pro ka screen to body ratio 90.6% hai, aur dewdrop display hone ke karan screen use karne me kafi immersive lagti hai.
Ye screen exactly Realme 3 Pro vali screen hai.
3 pro me gorilla glass 5 ka use kia gaya tha magar iss phone me sirf gorilla glass ka purana version 3 hi use kia hai jo ki kam protection deta hai.
5 Pro ke sath realme ne finally micro-USB port ko chod kar nae usb type-c port ka use kia hai.
Phone me 4035 mAh ki battery di gai hai aur Oppo ke 20W VOOC fast charging ka support bhi hai, joki phone ko adhe ghante me 55% tak charge kar sati hai.
20W ka VOOC fast
charger phone ke sath box me included aata hai, jiski retail price rs. 1000/- hai.
Oppo ki VOOC technology sabse best experience deti hai, aur realme ke phones me iska inclusion unhe aur behtar bana deta hai.
Phone ki battery ka size thoda chota hai aur ye hamari list ke dusre phones ke mukable kam chalti hai, magar vooc fast charging hone ke karan ye zyada badi problem nahi hai.
Phone ka design Realme 3 Pro se kafi milta julta hai.
Iska back reflective hai aur nae diamond cut gradient design ke sath aata ahi, jo ki hum realme c2 me pehle bhi dekh chuke hai.
Magar iss bar iss design ke sath quad camera setup dia gaya hai.
Realme 5 pro ke main camere ke lie 48MP ka sony sensor dia gaya hai jiska aperture f/1.8 hai, phone ka ultra wide camera 8MP ka hai aur 199 degree ka viewing angle deta hai, iska 3rd camera 2MP ka portrait camera hai jiska aperture f/2.4 hai.
Finally phone ka last camera ultra macro photos lene ke lie hai, iska sensor 2MP ka hai.
Phone ke quad camera setup ki vajah se isme kafi noticeable camera bump hai, realme 5 pro ko flat surface par rakhne par ye flat nahi rehta,
aur iske cameras par scratches
aane ka khatra badh jata hai.
Iss vajah se phone ko kafi carefully handle karna padta hai.
Phone ke back par dia gaya fingerprint sensor bohot hi fast aur accurate hai, sath hi iska face unlock bhi bohot reliable hai.
5 Pro ke front camera me 16MP ka sony sensor use kia gaya hai jiska aperture f/2.0 hai.
Camera app me beauty ke sath sath kai features die gae hai jo ki aapki selfies ko aur behtar banane me madad karte hai.
Buri lighting conditions me bhi ye decent shots le leta hai.
Realme ke sare cameras ki quality kafi achchi hai, phone me 940 fps super slow motion video ka support bhi hai aur phone me realme ke chroma boost aur super nighscape modes bhi die gae hai, magar colorOS ki camera app kafi basic si hai aur zyada achcha perform nahi karti hai islie iske sath photos lene ka experience smooth nahi hai.
Realme apna naya OS nikal chuke hai jisko unhone Realme UI ka name dia hai, abhi ye OS sirf kuch phones par hi release hua hai.
Realme UI android 10 par based hai aur kai nae features ke sath aati hai, realme ne confirm kara hai ki realme 5 pro ke lie realme ui jald hi launch hoga.
Phone me dual sim ke sath dedicated SD card slot bhi dia gaya hai, islie agar aap low internal memory vala variant bhi lete hai to uski memory sd card se easily expand kari jaa sakti hai.
Gaming ki baat kare to phone me games ko enhance karne ke lie gamespace app di gai hai, iss app me aapko phone me installed sare games mil jaenge aur aap yaha se notification settings aur game boost settings ko on/off kar sakte hai.
Phone me PUBG kafi smooth chalta hai.
Iski graphic settings HD tak jati hai aur frame rate high tak jata hai.
Gameplaay me hume koi slowdown ya lag dekhne ko nahi mila hai aur framerate bohot hi stable rehta hai,
PUBG ke alava dusre games ke sath bhi realme 5 pro achcha perform karta hai.
Phone me Game space app bhi di gai hai jaha se aap apne sare games launch kar sakte hai sath hi game boost aur DND modes ko bhi on kar sakte hai.
Realme 5 Pro flipkart.com par available hai aur sath hi aap isse apne local phone store se bhi khareed sakte hai.
Phone ke 4gb/64gb variant ki pricing 11999 hai or 6gb 64gb wale variant ki price 13999, iske alava iska high end variant bhi available hai joki 8gb ram or 128 gb rom ke sath aata hai jiski price 15999 hai.
Realme ne iss saal apne pure lineup me quadcamera dekar hume kafi impress kar dia hai, iss phone ke sath realme ne apni market position aur zyada strong kar di hai.
To dosto jiska aap sabhi ko intezar tha ab baari aa gai hai hamare best phone of march 2020 ki.Iss phone ne launch hote hi under 15000 ki range me tehelka macha dia tha.
Ye latest technology aur highest end features ko budget range me le aaya hai.
Top phone of March 2020 Under 15000
Finel Phone Number 1 per hai Redmi Note 8 Pro.
Redmi note 8 pro xiaomi ki redmi series ka sabse latest version hai.
Iss phone ke sath xiaomi highest end phones ki performance budget range me le aai hai.
Redmi Note 8 Pro ek nae look ke sath aata hai, iss phone ke sath xiaomi ne apne aura design par kafi improvement kia hai.
Phone par reflective multicolored glass ka use kia gaya hai
sath hi iska frame bhi colors ke sath behtar match karne ke lie specially banaya gaya hai.
Phone me dual curved gorllia glass 5 ka use kia gaya hai phone ko ultimate protection dene ke lie.
Ye phone ek nae aur unique look ke sath aata hai.joki bohot hi unique to hai hi sath hi phone ko aur zyada durable bhi banata hai.
Phone me 6.53 inch ki IPS LCD screen di gai hai jiska resolution 1080x2340 hai aur iski pixel density 395 ppi hai.
Ye display kafi vibrant hai aur isme HDR10 ka suppor bhi hai.
Screne kafi bright ho jati hai aur daylight me bhi usable rehti hai aur iske viewing angles bhi decent hai.
Screen ke upar dekhe to dot notch me phone ka front camera dia gaya hai aur yaha par call speaker bhi hai.
Phone ka front camera 20MP ka hai jiska aperture f/2.0 hai.
Ye camera kafi decent shots leta hai aur photos ko behtar banane ke lie isme kai modes die gae hai.
Front camera me AI scene detection aur panorama selfies ka support hai aur iska face unlock bhi kafi fast aur accurate hai.
Note 8 Pro pehla redmi phone hai jo ki quad camera setup ke sath aata hai.
Phone ka main camera 64MP ka hai jiska aperture f/1.9 hai, ye camera samsung ka naya sensor use karta hai.
Iska sencond camera 8MP ka ultra wide camera hai jiska aperture f/2.2 hai, sath hi phone me 2MP ka macro lens camera bhi hai jiska focus distance 2 cm ka hai, iska aperture f/2.4 hai aur ye super close macro shots leta hai.
Akhir me phone me 2MP ka Depth sensing camera hai.
Xiaomi ne camera ko enhance karne ke lie india me special Camera imaging team banai hai jo ki cameras ko indian envoirnments aur skin colors ko aur behtar tarha se capture karne ke lie tune karti hai.
Phone ka main 64MP camera super pixel technology use karta hai jo ki low light me aapko aur behtar images dega.
Sath hi phone me improved night mode aur beauty mode aur behtar edge detection vala portrait mode dia gaya hai.
Redmi note 8 Pro iss price segment ke sare phones me sabse high quality photos leta hai, iska quad camera setup aapko har situation me high quality photos lene me madad karta hai
. Iska finger print sensor camera ke just neeche dia gaya hai aur camera bump ka hissa hai, iski speed aur accuracy kafi achchi hai, magar sensor ka placement hume thoda problematic laga, phone unlock karte samay kai bar figers camera ke lens par chali jati hai jisse lens par dirt aur finger prints aa jate hai.
Redmi 8 Pro mediatek ke Helio G90T processor ke sath aata hai jo ki mediatek ke nai range me pehla processor hai.
G90T octa-core processor hai jiske 2 cores 2.05 Ghz par clocked hai aur 6 cores 2.0 Ghz par clocked hai.
Iske sath Mali g76 MC GPU ka use kia gaya hai.
G90T me G gaming ko represent karta hai aur ye processor specially gaming ko mind me rakh kar banaya gaya hai.
Isme mediatek ki special hyperengine game technology ka use kia gaya hai, ye technology aapke gaming experience ko improve karne ke lie games ko behtar networking aur gpu resources deti hai.
Benchmarks me ye processor Qualcomm ke Snapdragon 730G se bhi behtar perform kar raha hai.
G90T kai nae features ke sath aata hai.
Processor me wifiX ka support hai aur ye ek sath do wifi se connect kar sakta hai aur seamlessly stronger wifi pe switch kar sakta hai, sath hi ye sim network par calling aur data sath me handle kar sakta hai, jiski vajah se online games me calls aane par bhi aapka connection interupt nahi hota hai.
Phone bohot hi smooth work karta hai aur ispe high end games bhi stable framerate aur high graphic settings ke sath achche se run karte hai.
PUGB ki settings HDR tak jati hai aur frame rate ultra tak jata hai.
Yani aapko game me koi compromise nahi karna padta hai.
Magar dosto phone me sirf wildvine l3 tak ka hi support hai yani ki Note 8 Pro Amazon Prime aur Netflix par HD content stream nai kar sakta hai.
Xiaomi ne promise kia hai ki vo software update ke zarie wildvine l1 support jald hi provide karenge jo ki march me android 10 ke update ke sath aaega.
Note 8 Pro 4500 mAh ki battery ke sath aata hai, phone me fast charging support bhi hai, aur phone ke sath 18W ka fast charger box me hi aata hai, jiska inclusion hume bohot achcha laga.
Phone ki battery kafi chalti hai aur heavy use me bhi easily full day last kar sakti hai.
Heavy gaming aur multitasking ke doran bhi hume battery me zyada drop dekhne ko nahi mila.
Redmi note 8 Pro built in alexa ke saath aata hai, aur mediatek ka helio g90t dunia ke pehle processors me se ek hai jo dual call words support karta hai, islie aap alexa aur google assistant sath me use kar paenge.
Redmi Note 8 Pro MIUI 10 ke sath aata hai jo ki android 9 pie par based hai.
Phone ke lie MIUI ke nae version 11 ka update bhi aa chuka hai,
MIUI 11 bhi android 9 par hi based hai magar kai nae features aur enhancements ke sath aata hai.
Phone ki build quality bohot hi achchi hai aur ye use karne me bohot hi premium feel hota hai.
Phone ke side par iske volume buttons aur power button die gae hai, aur top side par dekhe to aapko IR blaster dekhne ko miljaega, phone ke bottom par iska speaker, headphone jack aur Usb type-c port dia gaya hai.
Phone me dual sim ka support hai aur isme dedicated SD card slot bhi hai, joki note series me hume pehli baar dekhne ko mila hai, aur sirf phone ke indian variant me hi dia gaya hai.
Phone 4 color options ke sath aata hai.
Phone ka sabse naya color gamma green hai jo ki green
frame ke sath aata hai.
Halo white jisme sunset colors aur rainbow effect aata hai.
Shadow black jo ki plain reflective black color hai.
Aur finally Electric blue jo green and blue gradient ke sath aata hai.
Redmi note 8 pro ka 6gb ram 64gb rom vala variant 13,999 ki price par aata hai, iska 6gb ram 128gb rom vale variant ki price 15,999 hai, aur 8gb 128gb vale variant ki pricing 17,999 hai.
Phone amazon.in aur mi.com par online available hai sath hi ye aapko offline mi home aur mi preffered partner ke stores par bhi mil jaega.
Sale ke time par in sab variants par 1000 rs tak ka discount mil sakta hai.
Redmi note 8 pro 4GB RAM variant ke sath nahi aata hia aur ye hume redmi ki nayi technology aur improvement ki taraf commitment dikahta ha hai.
Phone ke cheapest variant me bhi 6GB ram dekar redmi ne pakka kara hai ki aapko hamesha compromise free experience mile.
To dosto ye the hamare best 5 phone of March 2020, agar aap inme se koi bhi phone khareedna chahte hai to aapko uski link hamare description me mil jaegi.
Aap ke lie under 15000 range me best phone konsa hai hume comment karke zaroor batae.
Agar aapke pass koi suggestions ya requests ho to vo bhi hamare sath comments me share zaroor kare
Aaj ke lie bass itna hi dosto, Thanks
All Phone Buy link
Buy Nokia 7.2: http://fkrt.it/qbdB5cNNNN
Buy Samsung Galaxy M30s: https://amzn.to/2VNKYBZ
Buy Vivo Z1 Pro: http://fkrt.it/q3jjbcNNNN
Buy Realme 5 Pro: http://fkrt.it/qqp9zcNNNN
Buy Redmi Note 8 Pro: https://amzn.to/3cuyaWZ
We present you with the best smartphones with the best price in India, the best camera, the best gaming phone, best for playing PUBG, best battery and best all rounder phone.
No comments